Surprise Me!

Kitna Dushwaar Hai Duniya Yeh Hunar Aana Bhi | Waseem Barelvi | Love Sad Poetry | Broken Heart Poetry | Best Poetry | Zee&Poetry

2020-05-24 14 Dailymotion

kitnā dushvār thā duniyā ye hunar aanā bhī
tujh se hī fāsla rakhnā tujhe apnānā bhī

kaisī ādāb-e-numā.ish ne lagā.īñ sharteñ
phuul honā hī nahīñ phuul nazar aanā bhī

dil kī bigḌī huī aadat se ye ummīd na thī
bhuul jā.egā ye ik din tirā yaad aanā bhī

jaane kab shahr ke rishtoñ kā badal jaa.e mizāj
itnā āsāñ to nahīñ lauT ke ghar aanā bhī

aise rishte kā bharam rakhnā koī khel nahīñ
terā honā bhī nahīñ aur tirā kahlānā bhī

ḳhud ko pahchān ke dekhe to zarā ye dariyā
bhuul jā.egā samundar kī taraf jaanā bhī

jānñe vāloñ kī is bhiiḌ se kyā hogā 'vasīm'
is meñ ye dekhiye koī mujhe pahchānā bhī

Facebook:
https://web.facebook.com/ZeeandPoetry

Twitter:
https://twitter.com/ZeeandPoetry

Instagram:
https://www.instagram.com/zeeandpoetry/

#Zee&Poetry

Buy Now on CodeCanyon